Uppskill

#123 Ultimate Guide Optimizing Speed Of Your Wordpress Site For Non Coders ft Rajesh Arya

Informações:

Sinopsis

Doston hamesha se ek fast website business ke liye achhi mani gayi hai aur kai sare insights hai jo is baat ko prove karte hai ki jitni achhi website ki speed hogi utna achha wo user ke liye hogi. Isi wajah se hum apne developers ko website ki speed optimize karne ke liye kahte hai aur developer alag alag technique use kar ke speed achhi kar bhi dete hai. Par blogging world me hum khud hi developer hote hai jo Wordpress jaise CMS ko use karke coding kiye bagair achhi website bana lete hai par problem fir bhi speed ki aati hai. Aaj isi topic pe Rajesh Arya Bhai apko is podcast ke zariye kuch aisi cheezein sikhane wale hai jisko use karke aap instant website ki speed behtar kar sakte ho aur wo bhi bagair coding ka upyog kiye. toh der kis baat ki apna headphone lagaiye aur is podcast ko sunna shuru kar dijiye